Sunday, July 17, 2011

Door tak chahe thay badal ...

Door tak chahe thay badal or kahin saya na tha
is tarhan barsath ka moasam kabhi aaya na tha

kya mila aakhir tujhe saayon k peechay bhaag kar
aay dil-e-nadaan, tujhe kya humne samjhaya na tha
...
uff ye sannata k aahat tak na ho jis mai mukhal
zindagi mai is qadar humne sukoon paya na tha

khoob roye chipak k ghar ki chaar diwari mai hum
haal-e-dil kehnay k qabil koi humsaya na tha

No comments:

Post a Comment